Sunday, December 30, 2007
16) Saathi...
Zindagi ke veerane main ek saathi dhoondh raha hoon maen,
Is banjar mae-khaane main kyon saaqi dhundh raha hoon maen,
Mila hazaaron logo se is jeevan main per,
Phir bhi ek anjaana saathi dhoondh raha hoon maen,
Phir bhi ek anjaana saathi dhoondh raha hoon maen...
Haen bhare huye shubh-chintak mere is duniya main,
Haen bhare huye shubh-chintak mere is duniya main,
Jo de saath andhere main, woh ek saya dhoondh raha hoon maen,
Aise ek anjaana saathi dhoondh raha hoon maen,
Aise ek anjaana saathi dhoondh raha hoon maen...
Bhara hua hae daaman mera khushiyon se aaj,
Bhara hua hae daaman mera khushiyon se aaj,
Ho jo mere dukh ka saathi, usko dhoondh raha hoon maen,
Aise ek anjaana saathi dhoondh raha hoon maen,
Aise ek anjaana saathi dhoondh raha hoon maen...
Jo kare hifazat meri hargiz halaat ki aandhi se,
Aisa ek hamdard - humpyaala dhundh raha hoon maen,
Is banjar mae-khaane main aisa saaqi dhundh raha hoon maen,
Jeevan ke veerane main aisa ek saathi dhoondh raha hoon maen...
Monday, September 17, 2007
15) Apna Banana...
Ik muddat huyi unke kuchey se nikley,
Apne ishq ki ibaadat 1 hum aaj bhi karte haen,
Youn to jee kar akele bhi khush haen hum,
Unko pane ki tamanna hum aaj bhi rakhte haen…
Woh kehte haen ki woh bhool gaye haen humein,
Woh kehte haen ki woh bhool gaye haen humein,
Dekhein jo woh seene main apne, usme sajda hum aaj bhi karte haen,
Gar de mauka humko yeh khuda,
Unhe unse churaane ka jazbaa2 hum aaj bhi rakhte haen,
Unhe apna banaane ki koobat hum aaj bhi rakhte haen…..
Apne ishq ki ibaadat hum aaj bhi karte haen....
Apne ishq ki ibaadat hum ....
1--> Respect/Prayer
2--> Determination
composed on 17-Aug-2007
Tuesday, August 07, 2007
14) Koi Vaada to na tha...
I wrote it when I was leaving IBM ... I was in a confused state of emotions... Moving from IBM was my decision but now, as the feeling of parting was sinking I was nostalgic... not sure of the exact feelings... watever came to mind is here ... in front of you all...
Saari zindagi saath nibhaane ka koi vaada to na tha,
Mere ehsaaso main bas jaane ka koi bahaana to na tha,
Hum jaante haen e-dost tujhko bakhoobi,
Mera dil tod kar jaane ka koi tera koi iraada to na tha...
Aaj, in tanhaiyon main.....
Phir yaad tumhaari aati hae,
Ek tees si dil main uth-ti hae,
Aur awaaz kahin se aati hae,
Kahan ho, kahan ho tum...
Har pal tumko dhundhoon main,
Har pal tumko sochoon main,
Kaun ho tum, kya rishta hae tumse,
Aur kyon is bandhan ko todoon main.
Ab is chakravyuh main uljha hoon....
Na-jaane kab maen in rishto ko badlunga,
Na-jaane kab main in bandhan ko todunga,
Nahi hae ilm1 mujhe in gehraiyon ka,
Na-jaane kab maen is jeevan ko samjhunga...
Na-jaane kab maen is jeevan ko samjhunga...
1--> Knowledge
composed on 22-Jul-2007
Saari zindagi saath nibhaane ka koi vaada to na tha,
Mere ehsaaso main bas jaane ka koi bahaana to na tha,
Hum jaante haen e-dost tujhko bakhoobi,
Mera dil tod kar jaane ka koi tera koi iraada to na tha...
Aaj, in tanhaiyon main.....
Phir yaad tumhaari aati hae,
Ek tees si dil main uth-ti hae,
Aur awaaz kahin se aati hae,
Kahan ho, kahan ho tum...
Har pal tumko dhundhoon main,
Har pal tumko sochoon main,
Kaun ho tum, kya rishta hae tumse,
Aur kyon is bandhan ko todoon main.
Ab is chakravyuh main uljha hoon....
Na-jaane kab maen in rishto ko badlunga,
Na-jaane kab main in bandhan ko todunga,
Nahi hae ilm1 mujhe in gehraiyon ka,
Na-jaane kab maen is jeevan ko samjhunga...
Na-jaane kab maen is jeevan ko samjhunga...
1--> Knowledge
composed on 22-Jul-2007
13) Yeh Vaada tha...
Yeh vaada tha mera tumse ki jeevan bhar saath nibhaunga...
Maangogi gar tum to chaand taare bhi tod kar launga...
Rakhunga tuumko hamesha in palko per, teri har chahat ko poora karke aaunga...
Le jaunga tujhko saer jannat ki karaane aur agar thakk gaya to tere aanchal main so jaunga...
Rakhunga tujhko doooor har gham se aur tere liye duniya se maen lad jaunga...
Gar kardo vaada tum saath sada dene ka to is duniya ko dikhlaunga...
Hota hae ishq kya, yeh aashiq ban kar dikhaunga...
Afsos ke ab tera saath nahi hae, aur baaki bhi koi aas nahi hae...
In tootey jazbaato ke saath ab main baaki jeevan apna bitaunga...
Kehte ho bhool jaogey mujhe, maen teri yaadon main bas jaunga...
Apna baaki jeevan maen phir bhi tera saath nibhaunga...
composed on 07-Jul-2007
Subscribe to:
Posts (Atom)